Chanda ka poora hisaab, ek link par
Committee phone se entry kare, har donor apna naam search karke apni entry dekhe, aur har kharche ka bill sabke saamne ho. PDF banane aur WhatsApp mein dhoondhne ka jhanjhat khatam.
Paisa seedha committee ke UPI / bank mein jaata hai. Hum beech mein nahi aate.
Har saal wahi pareshani?
Chanda ikattha karna mushkil nahi, uska hisaab sabko dikhana mushkil hai.
Donors ke liye
Koi app install nahi. Link kholein, ek minute ka free account banayein, aur poora hisaab dekhein.
Apni entry khud dekhein
Naam ya gaon likhein: "kunwariya" likhne par "कुंवारिया" bhi mil jaata hai.
WhatsApp par receipt
Chanda dete hi receipt ka link WhatsApp par. Receipt number se kabhi bhi check karein.
Har kharcha, bill ke saath
Tent, bhojan, sound: kis cheez par kitna laga aur uska bill, sab ek jagah.
Galti dikhe toh batayein
"Entry galat hai?" dabayein. Committee jawab degi aur aapko status dikhega.
Chanda kaise dein
QR, UPI, bank ya cash: committee ke apne account, ek tap mein Pay karein.
Event ki jaankari aur photos
Banner, date, jagah ka map, programme aur event ki photos.
Committee ke liye
Phone par chalne wala app, sasta phone aur kamzor network bhi chalega.
Bina network ke entry
Gaon mein network nahi? Entry phone mein save, network aate hi apne aap sync.
Team aur roles
Owner, Admin, Collector. WhatsApp par invite bhejein, sabka apna login.
Live dashboard
Ab tak kitna aaya, kitna kharcha, kis collector ne kitna liya: sab abhi ka abhi.
Hisaab milan
Kiske paas kitna cash, kisne kisko diya, bank mein jama hua ya nahi.
Report ek tap mein
Poora hisaab print ya PDF karein. Typing ki zaroorat nahi.
Gupt daan aur saman
Gupt daan mein naam chhupa rahe. Shakkar, ghee jaisa saman bhi hisaab mein.
Teen kadam, aur hisaab sabke saamne
- 1
Event banayein
Naam, date, jagah, banner aur UPI / QR. Do minute ka kaam.
- 2
Committee jodein
WhatsApp par invite link bhejein. Har collector apne phone se entry kare.
- 3
Link share karein
Group mein ek link daalein. Donors khud dekhein, poochhne ki zaroorat nahi.
Har tarah ke event ke liye
Bharosa, jo dikhta hai
Paisa hum nahi lete
Donor seedha committee ke UPI, bank ya cash mein deta hai. Glasspot sirf hisaab rakhta hai.
Kuch chhupta nahi
Entry cancel ho toh wajah ke saath dikhegi. Har badlav ka record rehta hai.
Phone number safe
Committee ka number sirf unki marzi se dikhta hai, aur event khatam hote hi chhup jaata hai.
Aap tay karein kaun dekhe
Event Public rakhein, sirf link walon ke liye, ya Private.
Phone mein app ki tarah rakhein
Play Store ki zaroorat nahi. Ek baar install karein, phir home screen ke icon se seedha khulega.
- Ek tap mein khulega, link dhoondhna nahi padega
- Network na ho tab bhi pichhli baar dekha hisaab dikhega
- Bahut kam jagah leta hai, sasta phone bhi chalega
Aksar poochhe jaane wale sawaal
Kya donors ko app install karna padega?
Nahi. Hisaab ek link par browser mein khulta hai. Balance sabko dikhta hai; donors ki list aur bills ke liye ek free account (Google ya mobile number) banana hota hai.
Network nahi hai toh entry kaise hogi?
Committee app bina network ke entry phone mein save karta hai. Network aate hi apne aap sync ho jaati hai.
Paisa kahan jaata hai?
Seedha aapki committee ke UPI, bank ya cash mein. Hum na paisa lete hain, na rakhte hain.
Naam Hindi mein likhe hain, search chalega?
Haan. Naam jaise likha hai waise dikhega, aur search Hindi ya English, dono se hota hai.
Pichhle saal ka hisaab Excel ya PDF mein hai, kya daal sakte hain?
Haan, purana statement import ho sakta hai, taaki saara hisaab ek jagah rahe.
Kya hisaab sirf hamare logon ko dikhe?
Haan. Event "Sirf link wale" ya "Private" rakhein. Public event hi is site ki list mein aate hain.
Is saal ka hisaab saaf rakhein
Event banayein, committee jodein, link share karein.